Waqt laga, par mein samajh gaya by Keshav Bang

Waqt laga, par mein samajh gaya

- Keshav Bang

 

Waqt laga, par mein samajh gaya ki 

Waqt ke sath log badal jate hain,

Logon ke saath woh rishta badal jate hain,

Uss rishte ki ehmiyat badal jati hain.

 

Zaruri nahi ki jo beete huwe mein kal mein saath tha

Woh aane wal kal mein bhi saath rahega.

Yeh zindagi ka khel hi kuch aisa hain,

Yaha pal pal mein chehre badal jaate hain.

 

Kayi log rishte nahi nibha paate,

Aur kahi na kahi dukh pahunchate hain,

Par inhi ke karan jo log nibhaate hain,

Unki ahamiyat bahut badh jaati hain.

 

Woh jo nibha jaate hain,ve kabhi zindagi bhar saath rehne ke vaade nahi kiya karte.

Kyunki unko uss rishte pe pura bharosa hota hain  aur kabhi tut jaane ka dar nahi hota.

 

Woh har ek insaan jo nakaaraatmakata failata hain,

Un sabko bahar ka rasta dikha do,

Tabhi aapke jeevan mein sakaaraatmakata ko jagah milegi aur aapko khushi.

 

Zindagi mein har kisi ka aana toh dua nahi

Kuch toh zindagi ke paath seekhane bhi aate hain.

Par waqt se bada shikshak toh Koi nahi,

Yeh aapko sab kuch seekha hi deta hain.

 

Waqt laga, par mein samajh gaya.

Waqt laga, par mein samajh gaya.

 


Comments

Post a Comment

Popular Posts